Monday, December 31, 2007

waqt salla................ajnabi kyun lagta hai

waqt salla................ajnabi kyun lagta hai
hoon achambhit main khada....dil main kya woh rakhta hai
waqt salla................ajnabi kyun lagta hai


jism patthar...saas dhuyan...mook hai aur behra bhi
dekh kar raftaar iskee bojhil hoon main hairaan bhi
sadiyon se chalne wala...kya kabhi tehar-ta hai
waqt salla...............ajnabhi kyun lagta hai


tod doon suiyan main iskee...jo agar ruk jaye to
ya ulta ghuma doon isko......jo agar mud jaye to
kyun kabhi mit-ta nahin...jo bhi yeh likhta hai
waqt salla.............ajnabhi kyun lagta hai

kaash k main jaun peeche...aankh main herat liye
aur milun un sabhi se......jo kabhi the jiye
thee kabhi aabadiyan...aaj viraan sa jo dikh-ta hai
waqt salla................ajnabhi kyun lagta hai